Wednesday, May 31, 2006

About Turn

tere aane ka intezaar main har shaam karta hu
tujhe paane ki chaahat mein kuch aise kaam karta hu
tari aankhon ki chandni khareedne ke liye
main har dard ko baazaar mein neelaam karta hu

hamaare aaj ka naa tujh pe koi ilzaam karta hu
kal ko bhoolne ki koshishein naakaam karta hu
tujhpe koi ungli bhi naa uthaaye taaki
main apne aap ko har bheed mein badnaam karta hu

naa main rosh karta hu naa main aaraam karta hu
apni maut se har roz yeh sangraam karta hu
teri yaadon ke aks ko batorne ke liye
har raat ko botal mein hi anjaam karta hu

tere kadmon mein pesh aaj yeh kalaam karta hu
aur khoon ki har boond tere naam karta hu
tere aane ka intezaar main har shaam karta hu
tere aane ke intezaar mein har shaam marta hu