About Turn
tere aane ka intezaar main har shaam karta hu
tujhe paane ki chaahat mein kuch aise kaam karta hu
tari aankhon ki chandni khareedne ke liye
main har dard ko baazaar mein neelaam karta hu
hamaare aaj ka naa tujh pe koi ilzaam karta hu
kal ko bhoolne ki koshishein naakaam karta hu
tujhpe koi ungli bhi naa uthaaye taaki
main apne aap ko har bheed mein badnaam karta hu
naa main rosh karta hu naa main aaraam karta hu
apni maut se har roz yeh sangraam karta hu
teri yaadon ke aks ko batorne ke liye
har raat ko botal mein hi anjaam karta hu
tere kadmon mein pesh aaj yeh kalaam karta hu
aur khoon ki har boond tere naam karta hu
tere aane ka intezaar main har shaam karta hu
tere aane ke intezaar mein har shaam marta hu
21 Comments:
This comment has been removed by a blog administrator.
are dude max senti si post likh di kya ho gaya bhai..but tashan hai
@surya
sorry yaar..but tera comment jaldi hi delete ho jayega..i hope u understand ;)
@himanshu
bas hua kuch nahi..mausam hi kuch aisa hai..baarish waarish ho rahi hai ajkal yaha toh..hehe
yeh shruti kaun hai????????????
roundabout
mujhe gussa aa raha hai
kukarm tum karo aur comment mera delete ho..........not fair
aisi t@king bhi karta hai humaara ye t@ker, pata hi nahi tha hume to.
Awesome yaar,
Shailabh
well said..... sentimental touch!!!
u must b in love to write sumthing like this or ure just filmy by nature...wateva it is...fun n interesting...sorry im gonna borrow some of those lines...god bless.
dude.. nice poem to make a comeback!
WOW..amazing!!!
I probably should get drunk with you one of these days. Aise tu baat nahin kartaa...:)
oyeee...yeh tune likha hai??? mast yaar..bada senti hai..gud gud..
n yeh kaun hai "7 days to go" jo mere baare mai poochh raha hai???
@zubin
par aapne toh chod di hai..:D
@shruti
nahi maine nahi likhi outsource ki hai..as iff..
arre aap toh naraaz hogaye....sry bhai, aise he poochh liya...mujhe koi shak nahi hai ki yeh tune likhi hai....lolz.. n u dint ans my second question...
brilliant
Todu hai shyaraana andaaz
baj rahe hain lafzo ke saaz
kya hoga anjaam amol-galib
gar yeh tha tera agaaz!
hammein nahi pata tha ki amol janab ek nayab shaayar bhi hai ..... bahut mast hai aur bahut senti bhi
nice post, it's really interesting for me today, thx
Thanks to author.
Post a Comment
<< Home